Best 80+ Waqt Shayari in English 2026

Waqt Shayari in English

Time shapes our lives, tests our patience, and teaches invaluable lessons, and there is no better way to express its essence than through Waqt Shayari in English. These heartfelt couplets capture the emotions of fleeting moments, the pain of lost opportunities, and the beauty of cherished memories. Whether you are seeking motivation, reflection, or inspiration, Waqt Shayari resonates deeply with everyone who understands the value of time.

In this post, we bring you a collection of powerful and touching time shayari in english that perfectly conveys the emotions associated with life’s ups and downs, helping you connect with your feelings and share them with others.

Waqt Shayari in English

Waqt Shayari in English
Waqt rehta nahin kaheen tik kar
Aadat iski bhee aadmi see hai.
Jo waqt ki raftaar se chalta hai 
Har manzil par usee ka raaj chalta hai.
Waqt ne bhi hamaara ajeeb shikaar kiya hai
Kuch bhi nahin chhoda, har taraf se vaar kiya hai.
Kisi par narm, kisi par hota hai sakht
Kal aur tha, aaj doosre ka hai ye waqt.
 Kabhi khilaaf to kabhi saath hota hai 
insaan ki barbaadi mein waqt ka bhi haath hota hai.

Waqt Shayari in English on Life

Waqt Shayari in English on Life
Zindagi Waqt shayari in English
Waqt sabko milta hai zindagi badalne ke lie par
Zindagi dobara nahin milti waqt badalne ke lie.
Jo waqt ki kadr karta ho, zindagi uski muskuraati hai
Varna har lamha kisi na kisi ko rulaati hai.
Waqt theharta nahin, chalta hee jaata hai 
Zindagi bhi usee ki hai jo isay jee jaata hai.
Zindagi ne mere marz ka ek kaargar ilaaj bataya 
Waqt ko dava kaha aur khvaahishon ka parhez bataya.
Kuch ajeeb sa chal raha hai ye waqt ka safar
Ek gehri see khaamoshi hai khud ke hee andar.

Related Shayari: Life Shayari in English

Bura Waqt Shayari in English

Bura Waqt Shayari in English
Mushkil Waqt Shayari in English
Na to tum bure ho sanam, na hee hum bure hain
Kuchh kismat buri hai, kuchh waqt bura hai.
 Bura waqt bhee kya kamaal ka hota hai saahab
Jee jee karne vaale bhi tu tu karne lagte hain.
Kisi ke sapne kisi ka pyaar poora na ho
Insaan ka waqt itna bhee bura na ho.
Koi mehfil se uth kar ja raha hai 
Sambhal ae dil bura waqt aa raha hai.
Shaam ka waqt ho aur sharaab na ho
Insaan ka waqt itna bhee kharaab na ho.

Motivation Waqt Shayari in English

Motivation Waqt Shayari in English
Thoda sa dhairy rakh, waqt ke saath sab theek ho jaega
Tu bas chalta reh, raasta khud ba khund banta jaega.
Badal jao waqt ke saath ya phir waqt badalna seekho
Majbooriyon ko mat koso har haal mein chalna seekho.
Jo waqt ko pakad leta hai, vahi muqaddar badal deta hai
Varana har kisi ke paas din raat baraabar hote hain.
Baadalon ki ot se kisi din to sooraj niklega zaroor
Safar jaari rakh zindagi ka ek din to waqt badlega zaroor.
Waqt sab ke paas hai lekin hamesha ke lie nahin
Jo chaahe kar lo aaj mein hee kal ka bharosa nahin.

Related Shayari: Success Shayari in English

Rishte Waqt Shayari in English

Rishte Waqt Shayari in English
Badla hua waqt hai, zaalim zamaana hai yahaan
Matlabi rishte hain, phir bhee nibhaana hai.
Waqt nahin lagta dil ko dil tak aane mein par
Sadiyaan lag jaati hain ek rishta bhulane mein.
Jab hum rishton ke lie waqt nahin nikal paate to
Waqt hamaare darmiyaan se rishte nikaal deta hai.
Waqt ne mujhe sikha di hai logon ki pehchaan
Varna hum bhi sochate the ki har koi apna hai.
Sachhe rishte kuch nahin maangte
Sivae waqt aur izzat ke.

Waqt Shayari in English Attitude

Waqt Shayari in English Attitude
Waqt Waqt ki baat hai janaab
Aaj tera hai to kal mera hoga.
Na usay hosh hai meri na koi khabar hai 
Ek din waqt bataega tujhe meri kya kadar hai.
Abhi to thoda waqt hai, unko aazmaane do 
Ro rokar pukaarenge hamen, hamaara waqt to aane do.
Auron ki marzi se kabhi jiya nahin karte
Hum waqt par afsos kiya nahin karte.
Waqt ne bahut kuchh sikhaaya hai mujhe 
Ab har chot par muskuraana aagya hai mujhe.

Naseeb Waqt Shayari in English

Naseeb Waqt Shayari in English
Naseeb bhee kya khoob khel dikhaata hai 
Kabhi waqt rulaata hai, to kabhi hansa jaata hai.
 Waqt aur naseeb par kisi ka zor nahin chalta
Jo likha ho taqdeer mein vahee aksar milta.
Jinke haathon mein ho waqt ki kalam 
Apna naseeb vo khud hee likha karte hain.
Waqt se ladkar jo apna naseeb badal de
Insaan vahee jo apni takdeer badal de.
Siyah raat nahin leti naam dhalne ka
Yahi to waqt hai sooraj tere nikalne ka.

Waqt Shayari in English For Girl

Waqt Shayari in English For Girl
Waqt ne sikhaya hai ki kuch log khaas hote hain
Jaise tum, jo dil mein hamesha paas hote hain.
Tera saath ho to waqt bhi khoobsurat lage
Tere bina to har lamha tanha sa jage.
Ye waqt noor ko benoor kar deta hai
Chhote se zakhm ko naasoor kar deta hai.
Waqt kahaan rukta hai rukte to hum hain 
Kabhi kisi lamhe mein, kabhi kisi shakhs mein.
Achhe khaase logon par bhee waqt ik aesa aa jaata hai
Aur kisi par hanste hanste khud par rona aa jaata hai.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *